Shohrat Bukhari

dil talabgar-e-tamasha kyun tha

Shohrat Bukhari

Lahore, Punjab, Pakistan

1925-2001
dil talabgār-e-tamāshā kyuuñ thā
ya.anī hasrat-kash-e-duniyā kyuuñ thā
din bahr-e-hāl guzar hī jaate
dil kā ehsān uThāyā kyuuñ thā
saḳht begāna thā lekin yā-rab
itnā mānūs vo chehrā kyuuñ thā
juz ġhazal ḳhaak thā dāman meñ mire
us ne phir pyaar se dekhā kyuuñ thā
vo agar merī rasā.ī meñ na thā
ā.īne meñ koī vaisā kyuuñ thā
aañkh ko shauq ki dekhe us ko
dil kā pachhtāvā ki dekhā kyuuñ thā
hāsil-e-bazm hai parvāne kī raakh
raat bhar sham.a kā charchā kyuuñ thā
sub.h ke naam se ghabrātā huuñ
jī ko raas aayā añdherā kyuuñ thā
sohbat-e-gul-badnāñ meñ 'shohrat'
dil meñ kāñTā sā khaTaktā kyuuñ thā
Top Urdushayar.com