Shohrat Bukhari

hum shahr mein ek shama ki KHatir hue barbaad

Shohrat Bukhari

Lahore, Punjab, Pakistan

1925-2001
ham shahr meñ ik sham.a kī ḳhātir hue barbād
logoñ ne kiyā chāñd ke sahrāoñ ko ābād
har samt falak-bos pahāḌoñ kī qatāreñ
'ḳhusrav' hai na 'shīrīñ' hai na tesha hai na farhād
barsoñ se yahī ḳhvāb haiñ nīndoñ kī sajāvaT
gulshan hai magar gul hai na bulbul hai na sayyād
huuñ tā.ir-e-be-bām charāġh-e-sar-e-sahrā
ummīd-e-karam hai na mujhe shikva-e-bedād
jis ghar ko basāyā thā mirī be-ḳhabarī ne
aaj us ko tirī ḳhud-nigarī kar ga.ī barbād
kuchh aisā dhuāñ hai ki ghuTTī jaatī haiñ sāñseñ
is raat ke ba.ad aaoge shāyad na kabhī yaad
har zarra hai madfan mirī hairat-nigahī kā
yārab! ye galī kūche hamesha raheñ ābād
kal apnī bhī tasvīr na pahchān sakeñge
is daur ko baḳhshe ga.e vo 'mānī' vo 'bahzād'
sunsān hai zindāñ bhī bisān-e-dil-e-shā.er
ne shor-e-salāsil hai na hañgāma-e-fariyād
ḳhurshīd-e-qayāmat utar aa.e rag-e-jāñ meñ
ai naġhmagaro aisī koī tarz ho ījād
'shohrat' ki hai ab vaj.h-e-pareshānī-e-ahbāb
uTh jā.egā jis roz tū aa.egā bahut yaad
Top Urdushayar.com