jaane kis kis kī tavajjoh kā tamāshā dekhā
toḌ kar aa.ina jab apnā hī chehrā dekhā
aa lage gor kināre to milā muzhda-e-vasl
raat Duubī to ubhartā huā taarā dekhā
ek aañsū meñ hue ġharq do-ālam ke sitam
ye samundar to tire ġham se bhī gahrā dekhā
yaad aatā nahīñ kuchh bhī ki yahāñ duniyā meñ
kaun sī chiiz nahīñ dekhī magar kyā dekhā
ishq ke daaġh hue mahv is āshob meñ sab
TimTimātā sā charāġh-e-ruḳh-e-zebā dekhā
is ġhalat-bīnī kā koī to natīja hotā
umr bhar bahr-e-balā-ḳhez ko sahrā dekhā
koī is ḳhvāb kī ta.abīr badal de yā-rab
ghar meñ bahtā huā ik ḳhuun kā dariyā dekhā
kho ga.e bhiiḌ meñ duniyā kī par ab tak 'shohrat'
sansanā uTThā hai jī jab koī un sā dekhā