Shohrat Bukhari

dil saKHt niDhaal ho gaya hai

Shohrat Bukhari

Lahore, Punjab, Pakistan

1925-2001
dil saḳht niDhāl ho gayā hai
saañs aanā muhāl ho gayā hai
tū terā visāl terī furqat
sab ḳhvāb-o-ḳhayāl ho gayā hai
vo shauq ki thā matā-e-hastī
ab jī kā vabāl ho gayā hai
kyā rabt hai merā roz o shab se
har lamha savāl ho gayā hai
jo dard bhulā diyā thā tū ne
vo dard bahāl ho gayā hai
ab chāragarī se fā.eda kyā
āġhāz-e-ma.āl ho gayā hai
tayyār rakho charāg apne
sūraj ko zavāl ho gayā hai
ai dil mirī jaan kuchh to batlā
ye kyā tirā haal ho gayā hai
lahore ki ahl-e-dil kī jaañ thā
kuufe kī misāl ho gayā hai
is ālam-e-be-kasī meñ 'shohrat'
jiitā huuñ kamāl ho gayā hai
Top Urdushayar.com