Shohrat Bukhari

be-nashsha bahak raha hun kab se

Shohrat Bukhari

Lahore, Punjab, Pakistan

1925-2001
be-nashsha bahak rahā huuñ kab se
dozaḳh huuñ dahak rahā huuñ kab se
patthar hue kaan maut ke bhī
suulī pe laTak rahā huuñ kab se
jhaḌtī nahīñ gard āgahī kī
dāman ko jhaTak rahā huuñ kab se
lahore ke khañDaroñ meñ yārab
bulbul sā chahak rahā huuñ kab se
raushan na huiiñ ġhazal kī sham.eñ
sho.ala sā bhaḌak rahā huuñ kab se
tārīk haiñ rāste vafā ke
sūraj sā chamak rahā huuñ kab se
TuuTā na fasurdagī kā jaadū
ġhuncha sā chaTak rahā huuñ kab se
jaltā nahīñ be-kasī kā ḳhirman
bijlī sā lapak rahā huuñ kab se
is hirs-o-havā kī tīrgī meñ
sonā sā damak rahā huuñ kab se
sunsān hai vādī-e-takallum
bādal sā kaḌak rahā huuñ kab se
bastī koī ho to mil bhī jaa.e
sahrā meñ bhaTak rahā huuñ kab se
gulchīñ koī ho to qadr jaane
jañgal meñ mahak rahā huuñ kab se
haañ ai ġham-e-ishq mujh ko pahchān
dil ban ke dhaḌak rahā huuñ kab se
paimāna-e-umr kī tarah se
har lamha chhalak rahā huuñ kab se
mālūm ye ab huā ki 'shohrat'
dīvāna huuñ bak rahā huuñ kab se
Top Urdushayar.com