is tarah dard kā tum apne mudāvā karnā
yād-e-māzī ko charāġh-e-rah-e-fardā karnā
terī duzdīda-nigāhī ke maiñ sau baar nisār
dekhne vaale isī chaah se dekhā karnā
hashr tak jiine kā armān liye baiThā huuñ
tum zarā ziist ke asbāb muhayyā karnā
ḳhvāhish-e-dīd kī tauhīn hai jalvoñ kā ḳhayāl
merī nazroñ kā taqāzā hai ki pardā karnā
ek ehsān hai qudrat kī jafā-kārī par
us kī duniyā meñ bhī jiine kī tamannā karnā
merī taskīñ ke liye phir koī va.ada kiije
aap par farz nahīñ va.ade kā iifā karnā
husn betāb ho ḳhud vasl kī ḳhātir ai 'habīb'
ishq ko chāhiye andāz vo paidā karnā