Saud Usmani

aankhon mein ek KHwab pas-e-KHwab aur hai

Saud Usmani

1958
āñkhoñ meñ ek ḳhvāb pas-e-ḳhvāb aur hai
ik mauj-e-tund-o-tez tah-e-āb aur hai
un se bhī merī dostī un se bhī ranjisheñ
siine meñ ek halqa-e-ahbāb aur hai
shāyad kabhī khule ye mire naġhmagar pe bhī
ye sāz-e-jism aur hai mizrāb aur hai
chaliye kahīñ zamīñ kī kashish kuchh to kam huī
ḳhushkī pe jism aur tah-e-āb aur hai
phir aa na jaa.e lauT ke ye zalzala abhī
jo aa ke tham gayā thā vo sailāb aur hai
is ā.īne pe gard ke chehre miTā ke bhī
miTTī kā ek naqsh pas-e-āb aur hai
itnī siyāh-rāt meñ itnī sī raushnī
ye chāñd vo nahīñ mirā mahtāb aur hai
Top Urdushayar.com