Saud Usmani

guzar chali hai shab-e-dil-figar aaKHiri bar

Saud Usmani

1958
guzar chalī hai shab-e-dil-figār āḳhirī baar
bichhaḌne vaale haiñ yāroñ se yaar āḳhirī baar
damak rahā hai sahar kī jabīñ pe bosa-e-shab
thapak rahī hai sabā rū-e-yār āḳhirī baar
zarā sī der ko hai pattiyoñ pe shīsha-e-nam
guzar rahī hai kiran ār-pār āḳhirī baar
ye baat ḳhemoñ ke jalte diye bhī jānte the
ki ham ko bujhnā hai tartīb-vār āḳhirī baar
kisī alaav kā sho.ala bhaḌak ke boltā hai
safar kaThin hai magar ek baar āḳhirī baar
sumoñ se uḌtī huī reg-e-dasht DhūñDhtī hai
ġhubār hote hue shahsavār āḳhirī baar
Top Urdushayar.com