ajiib Dhañg se maiñ ne yahāñ guzārā kiyā
ki dil ko barf kiyā zehn ko sharāra kiyā
mizāj-e-dard ko sab lafz bhī qubūl na the
kisī kisī ko tire ġham kā isti.āra kiyā
phir us ke ashk bhī us ko adā na kar paa.e
vo dukh jo us ke tabassum ne āshkārā kiyā
ki jaise aañkh ke lagte hī khul ga.iiñ āñkheñ
nigāh-e-jāñ ne bahut duur tak nazāra kiyā
hameñ bhī dekh ki tajsīm-e-nau se guzre haiñ
badan ko shīsha kiyā dil ko sañg-pāra kiyā
ajab mizāj thā tanhā.ī-āshnā ki 'sa.ūd'
ḳhud apnā saath bhī mushkil se hī gavārā kiyā