Saud Usmani

nazar ke bhed sab ahl-e-nazar samajhte hain

Saud Usmani

1958

nazar ke bhed sab ahl-e-nazar samajhte haiñ

jo be-ḳhabar haiñ unheñ be-ḳhabar samajhte haiñ

na un chhāñv meñ barkat na barg-o-bār meñ faiz

vo ḳhud-numūd jo ḳhud ko shajar samajhte haiñ

unhoñ ne jhukte hue peḌ nahīñ dekhe

jo apne kāġhzī phal ko samar samajhte haiñ

hisār-e-jāñ dar-o-dīvār se alag hai miyāñ

ham apne ishq ko apnā ghar samajhte haiñ

kushāda-dil ke liye dil bahut kushāda hai

ye maiñ to kyā mire dīvār-o-dar samajhte haiñ

mirī harīf nahīñ hai ye nīl-gūñ vus.at

aur is fazā ko mire bāl-o-par samajhte haiñ

akelā chhoḌne vāloñ ko ye batā.e koī

ki ham to raah ko bhī ham-safar samajhte haiñ

tujhe to ilm ke do chaar harf le baiThe

samajhne vaale yahāñ umr bhar samajhte haiñ

samajh liyā thā tujhe dost ham ne dhoke meñ

so aaj se tujhe bār-e-digar samajhte haiñ

jo āshnā.ī ke ḳhanjar se āshnā haiñ 'sa.ūd'

vo dast-e-dost ke saare hunar samajhte haiñ

Top Urdushayar.com