dīvār pe rakkhā huā miTTī kā diyā maiñ
sab kuchh kahā aur raat se kuchh bhī na kahā maiñ
kuchh aur bhī maskan the mire dil ke alāva
lagtā hai kahīñ aur bhī mismār huā maiñ
is dukh ko to maiñ Thiik batā bhī nahīñ paatā
maiñ ḳhud ko mayassar thā magar mil na sakā maiñ
jaagā huuñ magar ḳhvāb kī dahshat nahīñ jaatī
kyā dekhtā huuñ yaar tujhe bhuul gayā maiñ
sūraj ke ufuq hote haiñ manzil nahīñ hotī
so Dhaltā rahā jaltā rahā chaltā rahā maiñ
ik ishq-qabīla mirī miTTī meñ chhupā thā
ik shaḳhs thā lekin koī ik shaḳhs na thā maiñ
ik ghūñT kī vaq.at mire pindār se kam thī
is baat se vāqif mirā mashkīza hai yā maiñ
ik jism meñ rahte hue ham duur bahut the
āñkheñ na khulīñ mujh pe na āñkhoñ pe khulā maiñ
kuchh aur bhī darkār thā sab kuchh ke alāva
kyā hogā jise DhūñDtā thā tere sivā maiñ