nazroñ kī tarah log nazāre kī tarah ham
bhīgī huī palkoñ ke kināre kī tarah ham
ye ruup to sūraj ko bhī hāsil nahīñ hotā
kuchh der rahe sub.h ke taare kī tarah ham
ham ne bhī to ik umr ye ġham saiñt ke rakkhe
ab kyā hai jo bhārī haiñ ḳhasāre kī tarah ham
ik qaum hai chāñdī kī jo miTTī pe khiñchī hai
sahrā meñ haiñ bahte hue dhāre kī tarah ham
is raat meñ pal pal kabhī raushan kabhī rū-posh
ik duur ke taare ke ishāre kī tarah ham
yakjā.ī se pal bhar kī ḳhud-ārā.ī bhalī thī
sho.ale se nikal aa.e sharāre kī tarah ham
ye faḳhr kisī aur se mansūb na hogā
har gaam haiñ ḳhud apne sahāre kī tarah ham