ajab ḳhajālat-e-jāñ hai nazar tak aa.ī huī
ki jaise zaḳhm kī taqrīb-e-rū-numā.ī huī
nazar to apne manāzir ke ramz jāntī hai
ki aañkh kah nahīñ saktī sunī-sunā.ī huī
barūn-e-ḳhāk faqat chand Thekre haiñ magar
yahāñ se shahr mileñge agar khudā.ī huī
ḳhabar nahīñ hai ki tū bhī vahāñ mile na mile
agar kabhī mire dil tak mirī rasā.ī huī
maiñ āñdhiyoñ ke muqābil khaḌā huā huuñ 'sa.ūd'
paḌī hai fasl-e-mohabbat kaTī-kaTā.ī huī