Saud Usmani

hisab-e-tark-talluq tamam maine kiya

Saud Usmani

1958
hisāb-e-tark-ta.alluq tamām maiñ ne kiyā
shurūa us ne kiyā iḳhtitām maiñ ne kiyā
mujhe bhī tark-e-mohabbat pe hairateñ haiñ rahīñ
jo kaam merā nahīñ thā vo kaam maiñ ne kiyā
vo chāhtā thā ki dekhe mujhe bikharte hue
so us kā jashn ba-sad-ehtimām maiñ ne kiyā
bahut dinoñ mire chehre pe kirchiyāñ sī rahīñ
shikast-e-zāt ko ā.īna-fām maiñ ne kiyā
bahut dinoñ meñ mire ghar kī ḳhāmoshī TuuTī
ḳhud apne-āp se ik din kalām maiñ ne kiyā
ḳhudā-e-zabt ne mausam pe qudtareñ baḳhshīñ
ġhubār-e-tund ko āhista-gām maiñ ne kiyā
is ek hijr ne milvā diyā visāl se bhī
ki tū gayā to mohabbat ko aam maiñ ne kiyā
mizāj-e-ġham ne bahar-taur mashġhale DhūñDe
ki dil dukhā to koī kām-vām maiñ ne kiyā
chalī jo sail-e-ravāñ par vo kāġhzī kashtī
to is safar ko mohabbat ke naam maiñ ne kiyā
vo āftāb jo dil meñ dahak rahā thā 'sa.ūd'
use sapurd-e-shafaq aaj shaam maiñ ne kiyā
Top Urdushayar.com