Saud Usmani

bichhaD gaya hai to ab us se kuchh gila bhi nahin

Saud Usmani

1958
bichhaḌ gayā hai to ab us se kuchh gilā bhī nahīñ
ki sach to ye hai vo ik shaḳhs merā thā bhī nahīñ
maiñ chāhtā huuñ use aur chāhne ke sivā
mire liye to koī aur rāstā bhī nahīñ
ajiib rāhguzar thī ki jis pe chalte hue
qadam ruke bhī nahīñ rāstā kaTā bhī nahīñ
dhuāñ sā kuchh to miyāñ barf se bhī uThtā hai
so dil-jaloñ kā ye aisā koī patā bhī nahīñ
ragoñ meñ jamte hue ḳhuun kī tarah hai 'sa.ūd'
vo harf-e-hijr jo us ne abhī kahā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com