Saud Usmani

kuchh aur akele hue hum ghar se nikal kar

Saud Usmani

1958
kuchh aur akele hue ham ghar se nikal kar
ye lahr kahāñ jaa.e samundar se nikal kar
mālūm thā milnā tirā mumkin nahīñ lekin
chāhā thā tujhe maiñ ne muqaddar se nikal kar
aalam meñ ka.ī aur bhī aalam the so maiñ ne
dekhā nahīñ is markaz o mahvar se nikal kar
ab dekhiye kis shaḳhs kā ham-dosh bane vo
jhoñke kī tarah mere barābar se nikal kar
ḳhvāhish hai ki ḳhud ko bhī kabhī duur se dekhūñ
manzar kā nazāra karūñ manzar se nikal kar
taktā rahā maiñ us kī mubāraz-e-talbī ko
vo mujh se laḌā thā mire lashkar se nikal kar
Top Urdushayar.com