numū-pazīr hai ik dasht-e-be-numū mujh meñ
zuhūr karne ko hai phir shahr-e-ārzū mujh meñ
ye zaḳhm vo hai ki jis ko dikhānā mushkil hai
Tapak rahā hai musalsal mirā lahū mujh meñ
ragoñ meñ chaap sī koī sunā.ī detī hai
ye kaun hai ki jo phirtā hai kū-ba-kū mujh meñ
maiñ apne lahje se har lamha ḳhauf khātā huuñ
chhupā huā hai koī shaḳhs tund-ḳhū mujh meñ