muzmahil hone pe bhī ḳhud ko javāñ rakhte haiñ ham
ek sar hai jis pe sātoñ āsmāñ rakhte haiñ ham
ham garebāñ-chāk logoñ ko tahī-dāman na jaan
le qimār-e-āshiqī meñ naqd-e-jāñ rakhte haiñ ham
koī to āḳhir chalā aa.egā pursish ke liye
tū na aa.egā to marg-e-nā-gahāñ rakhte haiñ ham
ehtirām-e-ġham se haiñ sūkhe jazīroñ kī tarah
varna in āñkhoñ meñ bahr-e-be-karāñ rakhte haiñ ham
ishq meñ zauq-e-takallum hai halākat-āfrīñ
aarzū bhī ehtiyātan be-zabāñ rakhte haiñ ham
mah-vashoñ ke ārizoñ meñ dekhte haiñ apnā aks
allāh allāh apnā saaya bhī kahāñ rakhte haiñ ham
laakh hoñ phailī huī manzil-ba-manzil zulmateñ
saath apne mash.al-e-husn-e-butāñ rakhte haiñ ham