Zaheer Kashmiri

parwana jal ke sahab-e-kirdar ban gaya

Zaheer Kashmiri

Amritsar, Punjab, India

1919-1994
parvāna jal ke sāhab-e-kirdār ban gayā
lekin jamāl-e-sham.a gunāhgār ban gayā
ham dil-zade jo sair-e-chaman ko nikal paḌe
har phuul dast-e-shāḳh meñ talvār ban gayā
imshab tulū-e-yār kā manzar ajiib thā
bām-e-buland matla-e-anvār ban gayā
ai mahvashān-e-shahr mirī bandagī karo
maiñ ḳhud sañvar ke aks-e-ruḳh-e-yār ban gayā
vo daur the nazar pe hijāb-e-ġhurūr thā
vo chal diye maiñ dīda-e-bedār ban gayā
jab ḳhāmushī hī bazm kā dastūr ho ga.ī
maiñ aadmī se naqsh-ba-dīvār ban gayā
mahsūs kar rahā huuñ ki tanhā huuñ in dinoñ
har shahar garche misr kā bāzār ban gayā
jis ham-nafas ko mujh se matā-e-vafā milī
vo ham-nafas mirā hī ḳharīdār ban gayā
Top Urdushayar.com