shab kā pahra nahīñ āḳhirī pahr tak
sub.h hone ko hai maut ke shahr tak
Dubkiyāñ mārtā huuñ sarāboñ meñ maiñ
ret ke hauz par dhuup kī mahr tak
shukr karte nahīñ aarzī rañj kā
sabr karte haiñ ham dā.imī qahr tak
ham hī dozaḳh ravāna hue vaqt se
ham jo nā-vaqt se aa ga.e dahr tak
husn se māvarā jism se mā-sivā
tak rahā huuñ use ruuh ke zahr tak
pañkh phailā rahī hai ghane habs se
lū havāoñ kī aatī huī lahr tak
khet tak ham use le ke aa.e nahīñ
aur farhād kā kaam thā nahr tak