chal ḳhud ko laTkā kar dekheñ phande se
vahm mujhe aksar aate haiñ gande se
baar uThānā sab ke bas kī baat nahīñ
kaḌ kaḌ āvāzeñ aatī haiñ kañdhe se
ham bhī lāshoñ ke is Dher kā hissa haiñ
kis ne paar kiye ambār buland aise
bhūke peT ko kāTeñge jab kāteñge
jīvan pahiya kab chaltā hai chande se
paḌh kar phir se mar jaate haiñ zinda log
qabroñ ko bheje jaate haiñ sandese
phūTe peḌ kī shah-rag se zañgārī dhaar
kaam chalāo aare se yā rande se
donoñ haiñ masrūf bahut mobile meñ
banda ab kyā baat karegā bande se
bas tan ko apnāte haiñ Thukrāte haiñ
ham ko kyā lenā dhan se aur dhande se