suno jab ġhaib kā par jāgtā hai
havāoñ kā samundar jāgtā hai
sabhoñ meñ jis ne kī taqsīm nīndeñ
ḳhudā hai jo barābar jāgtā hai
agarche bujh chukī hai merī hairat
magar ab bhī vo manzar jāgtā hai
baḌī dilchasp hotī hai kahānī
maiñ sotā huuñ to bistar jāgtā hai
kisī din maar dūñgā aa.ine par
jo mujh meñ ek patthar jāgtā hai
yaqīñ jitnī bhī gahrī niiñd meñ ho
koī vasvās andar jāgtā hai
chaḌhāo chādareñ so.e huoñ par
ye karne se muqaddar jāgtā hai
ham us ghar kī hifāzat kar rahe haiñ
mire sote hī jheñgur jāgtā hai
muqaddam kaun hai ye baat chhoḌo
vajūdoñ meñ bhī jauhar jāgtā hai
chhupī baiThī hai sahrāoñ meñ shabnam
kahīñ khetoñ meñ banjar jāgtā hai
mujhe chhūtī hai vo 'asvad' samajh kar
badan meñ jis ke marmar jāgtā hai