āriz-e-sham.a pe niiñd aa ga.ī parvānoñ ko
ḳhvāb se ab na jagā.e koī dīvānoñ ko
un ko ma.alūm hai rindoñ kī tamannā kyā hai
aks-e-ruḳh Daal ke bhar dete haiñ paimānoñ ko
ai dil-e-zār udhar chal ye tazabzub kyā hai
vo to āñkhoñ pe uThā lete haiñ mehmānoñ ko
vo bhī mutlāshī-e-yak-jalva-e-gum-gashta haiñ
ham ne nazdīk se dekhā hai parī-ḳhānoñ ko
ho ga.e saaf ayaañ rūh-o-badan ke nāsūr
raushnī maar ga.ī aaj ke insānoñ ko
un ke har chaak se tanvīr-e-vafā phūTegī
jashn-e-fardā meñ sajā.eñge garebānoñ ko
qalam-e-dār se tahrīr-e-rasan se ham ne
ik nayā moḌ diyā ishq ke afsānoñ ko
josh dariyā ke qarā.in ye batāte haiñ 'zahīr'
mauj khā jā.egī sāhil ke shabistānoñ ko