Bilal Aswad

badan par zaKHm the aur ustuKHwan mein din nahin tha

Bilal Aswad

Loralai, Balochistan, Pakistan

1985
badan par zaḳhm the aur ustuḳhvāñ meñ din nahīñ thā
bahut taare the apne āsmāñ meñ din nahīñ thā
mirī ḳhvāhish ke jitnā kab huā mujh meñ sarābāñ
ki bahr-e-dasht ke kaun-o-makāñ meñ din nahīñ thā
añdhere meñ the apne qahqahe bhī siskiyāñ bhī
hamāre vasl ke sūd-o-ziyāñ meñ din nahīñ thā
basantī dhuup thī darkār hariyālī kī ḳhātir
ḳhizāni-rut thī hisse gulistāñ meñ din nahīñ thā
haqīqat ḳhvāb meñ Dhalne ko thī maujūdgāñ meñ
samay kī aañkh ke ā.indagāñ meñ din nahīñ thā
hamāre grahan ko sūraj lagānā kab thā mumkin
bahut DhūñDā magar asr-e-ravāñ meñ din nahīñ thā
nikalnā thā gharoñ se raat meñ tohmat barābar
aur 'asvad' is havas-parvar jahāñ meñ din nahīñ thā
Top Urdushayar.com