vaqt kā pahiya chalā aur raat gahrī ho ga.ī
shaam aa.ī din Talā aur raat gahrī ho ga.ī
itnā raushan thā badan maiñ din hī rahtā thā mudām
be-sabab hī dil jilā aur raat gahrī ho ga.ī
āḳhirī dīdār thā tayyār thā jis ke liye
aisā mushkil marhala aur raat gahrī ho ga.ī
jāgne vaale na the jo dekhte us kī chamak
niiñd sab kā mashġhala aur raat gahrī ho ga.ī
maiñ use kahne hī vaalā thā ujālā thā abhī
kar bhalā so ho bhalā aur raat gahrī ho ga.ī
raat to pahle se thī jab baap sā sūraj na thā
chāñd sā bhaa.ī Dhalā aur raat gahrī ho ga.ī
pī nahīñ sakte the paanī dekh to sakte the ham
ek to ye karbalā aur raat gahrī ho ga.ī
us taraf tūfān aayā aur din lambā huā
ham par aayā zalzala aur raat gahrī ho ga.ī
sun rahe ho jaise hī abyaz ne 'asvad' se kahā
pur karo merā ḳhalā aur raat gahrī ho ga.ī