Mahshar Kazim Husain Lakhnavi

der tak uTh na saka wan se wo diwana-e-dost

Mahshar Kazim Husain Lakhnavi

der tak uTh na sakā vaañ se vo dīvāna-e-dost
chhiḌ gayā jab ki kahīñ baiTh ke afsāna-e-dost
aaj uThe jaate haiñ darbāñ kī jafā se lekin
zindagī bhar kahīñ chhuTtā hai dar-e-ḳhāna-e-dost
hijr meñ hālat-e-dil kī haiñ vo āñkheñ nigarāñ
dekhī thī jin se kabhī raunaq-e-kāshāna-e-dost
rāhbar shauq-e-dilī sar pe ajal dil betāb
be-ḳhabar yuuñ maiñ chalā huuñ taraf-e-ḳhāna-e-dost
aaj kyuuñ had se sivā dil ko ḳhushī hai 'mahshar'
kyā bulā.e hue jaate ho sū-e-ḳhāna-e-dost
Top Urdushayar.com