phir jo kaTtī nahīñ us raat se ḳhauf aatā hai
so hameñ shām-e-mulāqāt se ḳhauf aatā hai
mujh ko hī phūñk na Dāleñ kahīñ ye lafz mire
ab to apne hī kamālāt se ḳhauf aatā hai
kaT hī jaatā hai safar sahl ho yā mushkil ho
phir bhī har baar shurūāt se ḳhauf aatā hai
vahm kī gard meñ lipTe haiñ savāl aur hameñ
kabhī naf.i kabhī isbāt se ḳhauf aatā hai
aise Thahre hue māhaul meñ 'rahmān'-hafīz
in guzarte hue lamhāt se ḳhauf aatā hai