Sayed Ashar

kabhi lagawaT kabhi adawat mujhe ijazat

Sayed Ashar

Haripur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1961
kabhī lagāvaT kabhī adāvat mujhe ijāzat
tujhe hai sūjhī na.ī sharārat mujhe ijāzat
maiñ aa.ine ko qarīb lā ke zarā jo rakkhūñ
badalne lagtī hai terī sūrat mujhe ijāzat
har ek tujh ko bahut hai pyārā bahut hī pyārā
maiñ jāntā huuñ ye terī aadat mujhe ijāzat
tirī talab meñ jahān saarā yahāñ khaḌā hai
mujhe ijāzat mujhe ijāzat mujhe ijāzat
tumhāre lahje kī sard-mehrī to kam na hogī
ThiThur ga.ī hai mirī samā.at mujhe ijāzat
yahāñ to bas haiñ tamām dānish-varān-e-ulfat
sunūñ maiñ kis kis kī ab ḳhitābat mujhe ijāzat
maiñ apne hāthoñ se likkhe kāġhaz jalā.ūñ kaise
tujhe mubārak tirī ye jur.at mujhe ijāzat
koī gila hai na koī shikva na koī ranjish
jahāñ raho tum raho salāmat mujhe ijāzat
badal badal ke charāġh rakkhe haiñ tāqchoñ par
qubūliyat kī na aa.ī saa.at mujhe ijāzat
pukār lenā bilā-jhijak tum mujhe kahīñ bhī
agar paḌe jo mirī zarūrat mujhe ijāzat
Top Urdushayar.com