Sayed Ashar

kabhi andhera kabhi ujala suno ghazala

Sayed Ashar

Haripur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1961
kabhī añdherā kabhī ujālā suno ġhazāla
koī kināya koī kināra suno ġhazāla
ham apne raste se haT ga.e haiñ bhaTak ga.e haiñ
na koī sahrā na koī dariyā suno ġhazāla
mire badan meñ dhaḌak rahā hai taḌap rahā hai
firāq lamhoñ kā dard saarā suno ġhazāla
badalte mausam ke rañg saare na tum hamāre
na ab ye sūraj na chāñd haala suno ġhazāla
na jī rahe haiñ na mar rahe haiñ sisak rahe haiñ
ujaaḌ āñkheñ ujaaḌ chehra suno ġhazāla
mirī nazar meñ chamak rahā hai damak rahā hai
jahāñ hai jugnū jidhar hai taarā suno ġhazāla
hamārī khiḌkī se duur haT ke zarā simaT ke
kahīñ charāġhāñ kahīñ saverā suno ġhazāla
tujhe to jaanā thā jā chukī ho mujhe yaqīñ hai
badal rahā huuñ maiñ ab Thikāna suno ġhazāla
na tum hamāre na ham tumhāre haiñ jhuuT saare
suno ġhazāla suno ġhazāla suno ġhazāla
ye kaisī ulfat kā khel ham ne hamesha khelā
na koī jiitā na koī haarā suno ġhazāla
mire safar meñ ye dhuup chhāñv na.ī nahīñ hai
vahīñ hai jañgal jahāñ hai rasta suno ġhazāla
Top Urdushayar.com