har roz hī imroz ko fardā na karoge
va.ada ye karo phir kabhī va.adā na karoge
ye maan liyā ahd-e-vafā bhuul chuke ho
kyā bhuul ke bhī tum hameñ chāhā na karoge
mahfil se hī uTh jā.eñge ham aise qabā-chāk
vahshat kā hamārī kabhī shikvā na karoge
achchhā thā ki jab āriza-e-hijr nahīñ thā
achchhā hai ki ab tum kabhī achchhā na karoge
jis raaz meñ shāmil hai hamārā bhī fasāna
us raaz ko kyā ham pe bhī ifshā na karoge
mar jā.egā dil hasrat-e-anvār-e-sahar meñ
be-parda agar tum ruḳh-e-zebā na karoge
kyā aur na thā tark-e-ta.alluq kā bahāna
sunte haiñ ki ab tum hameñ rusvā na karoge
samjho to 'zahīr' un kī nigāhoñ ke ishāre
kyā aaj bhī iz.hār-e-tamannā na karoge