ab aur dam na ghuTe raushnī kā kamre meñ
darīche vā hoñ ujāloñ kī dauḌ puurī ho
jo ḳhvāb aa.eñ to dekhūñ tujhe maiñ jī-bhar ke
ki niiñd aa.e to ḳhvāboñ kī dauḌ puurī ho
koī baḌhā.e zarā āsmān kī vus.at
maiñ chāhtā huuñ parindoñ kī dauḌ puurī ho
kisī azaab se ruk jaa.e raqs qātil kā
gharoñ ko lauTte bachchoñ kī dauḌ puurī ho
maiñ tere hijr ke aalam meñ jī nahīñ saktā
so ab yahī ho ki sāñsoñ kī dauḌ puurī ho