Zaheer Kashmiri

tu agar ghair hai nazdik-e-rag-e-jaan kyun hai

Zaheer Kashmiri

Amritsar, Punjab, India

1919-1994
tū agar ġhair hai nazdīk-e-rag-e-jāñ kyuuñ hai
nā-shanāsā hai to phir mahram-e-pinhāñ kyuuñ hai
hijr ke daur meñ har daur ko shāmil kar leñ
is meñ shāmil yahī ik umr-e-gurezāñ kyuuñ hai
aaj kī shab to bujhā rakkhe haiñ yādoñ ke charāġh
aaj kī shab mirī palkoñ pe charāġhāñ kyuuñ hai
aur bhī log haiñ maujūd bayābānoñ meñ
dast-e-vahshat meñ faqat merā girebāñ kyuuñ hai
dil to muddat se kaḌī dhuup meñ jaltā hai 'zahīr'
aag barsātā huā abr-e-bahārāñ kyuuñ hai
Top Urdushayar.com