Ashu mishra

mere suKHan mein tabhi falsafa ziyaada hai

Ashu mishra

dataganj budaun, Uttar pradesh, India

1993
mere suḳhan meñ tabhī falsafa ziyāda hai
ki maiñ ne likkhā bahut kam paḌhā ziyāda hai
us ek rañg kī thī justujū zamāne ko
vo ek rañg jo mujh pe khulā ziyāda hai
tum hī batāo abhī kaise chhoḌ duuñ us ko
abhī vo mujh meñ zarā mubtalā ziyāda hai
ye ek pal kī vafā muddatoñ kā ronā hai
zarā se jurm kī itnī sazā ziyāda hai
maiñ apne aap meñ huuñ hī nahīñ so ab mujh meñ
kuchh ek din se koī dūsrā ziyāda hai
Top Urdushayar.com