koī aa kar nahīñ jaatā diloñ ke āshiyānoñ se
rihā.ī kā koī rasta nahīñ in qaid-ḳhānoñ se
machhere kashtiyoñ meñ baiTh kar ke gā rahe haiñ giit
havā.eñ muskurā kar mil rahī haiñ bādbānoñ se
zamīñ vāloñ ne jab se āsmāñ kī or dekhā hai
parinde ḳhauf khāne lag ga.e ūñchī uḌānoñ se
ye sūkhe zaḳhm haiñ yā rañg haiñ tasvīr maazī ke
mujhe guzre zamāne yaad aa.e in nishānoñ se
hameñ apnī laḌā.ī is zamīñ par ḳhud hī laḌnī hai
farishte to nahīñ aane yahāñ par āsmānoñ se
tumhārā dil yahāñ par kho gayā to kaisī hairat hai
bareilly meñ to jhumke tak nikal jaate haiñ kānoñ se