jahāñ se aa ga.e haiñ us jahāñ kī yaad aatī hai
ki ham uryāñ saroñ ko sā.ebāñ kī yaad aatī hai
jahāñ par mahfil-e-shab meñ sabhī āñkheñ bhigote haiñ
sabhī ko apne apne raftagāñ kī yaad aatī hai
vahāñ jab tak rahe tab tak yahāñ kī fikr rahtī thī
yahāñ jab aa ga.e haiñ to vahāñ kī yaad aatī hai
ye shahr-e-ajnabī meñ ab kise jā kar batā.eñ ham
kahāñ ke rahne vaale haiñ kahāñ kī yaad aatī hai