Ashu mishra

aisi bhi kya uDi hai KHabar dekh kar mujhe

Ashu mishra

dataganj budaun, Uttar pradesh, India

1993
aisī bhī kyā uḌī hai ḳhabar dekh kar mujhe
sab pherne lage haiñ nazar dekh kar mujhe
kyoñ chhuT nahīñ rahā hai siyah-rāt kā dhuāñ
kyoñ muñh chhupā rahī hai sahar dekh kar mujhe
donoñ hī ro paḌe haiñ sar-e-mausam-e-ḳhizāñ
maiñ dekh kar shajar ko shajar dekh kar mujhe
mānūs ho chukā hai mirī āhaToñ se ghar
khul jā rahe haiñ aap hī dar dekh kar mujhe
yuuñ to hazār rañj the shikve gile bhī the
kuchh bhī na kah sakā vo magar dekh kar mujhe
Top Urdushayar.com