aise khulte haiñ falak par ye sitāre shab ke
jis tarah phuul hoñ saare ye bahār-e-shab ke
terī tasvīr banā kar tirī zulfoñ ke liye
ham ne kāġhaz pe ka.ī rañg utāre shab ke
vo musavvir jo banātā hai sahar kā chehra
us se kahnā ki abhī dard ubhāre shab ke
kyā kisī shaḳhs kī hijrat meñ jalī haiñ rāteñ
kyuuñ sharāroñ se chamakte haiñ sitāre shab ke
ye tire hijr ne tohfe meñ diye haiñ ham ko
ye jo ma.asūm se rishte haiñ hamāre shab ke
ek muddat se hameñ niiñd na aa.ī 'āshū'
umr ik kaaT dī ham ne bhī sahāre shab ke