dhoke pe dhoka is tarah khāte chale ga.e
ham dushmanoñ ko dost banāte chale ga.e
har zaḳhm-e-zindagī ko gale se lagā liyā
ham zindagī se yūñhī nibhāte chale ga.e
vo nafratoñ kā bojh liye ghūmte rahe
ham chāhatoñ ko un pe luTāte chale ga.e
jo ḳhvāb zindagī kī haqīqat na ban sakā
us ke hasīñ fareb meñ aate chale ga.e
'rūbī' chhupānā dard ko āsāñ na thā magar
ham aaḌ meñ hañsī kī chhupāte chale ga.e