hai aarzū ye koī to aisā dikhā.ī de
jo be-hisī ke daur meñ apnā dikhā.ī de
ahvāl-e-zindagī meñ hai har shaḳhs ajnabī
chehra koī to mujh ko shanāsā dikhā.ī de
hai kashmakash meñ aaj baḌī zindagī mirī
huuñ muntazir ki koī to rasta dikhā.ī de
chāroñ taraf hai raaj udāsī kā āj-kal
koī to ho jo shahr meñ hañstā dikhā.ī de
hai aane vaale vaqt se ik 'rūbī' ḳhauf sā
ummīd kā diyā koī jaltā dikhā.ī de