yuuñ mujhe be-nishān kar diije
qabr merā makān kar diije
lazzat-e-dard kam na ho jaa.e
zaḳhm phir se javān kar diije
dhuup ḳhushiyoñ kī baḌh ga.ī hai bahut
ġham kā phir sā.ebān kar diije
chashm-e-nam khol de na raaz mirā
mujh ko phir be-zabān kar diije
tuḳhm-e-ḳhvāhish na jis meñ ag paa.e
bāñjh vo gulsitān kar diije