Farooq Anjum

jo baiTho sochne har zaKHm-e-dil kasakta hai

Farooq Anjum

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1943
jo baiTho sochne har zaḳhm-e-dil kasaktā hai
ġhazal kaho to qalam se lahū Tapaktā hai
maiñ ab bhī rotā huuñ mahrūmiyoñ pe bachpan kī
khilaune dekh ke dil aaj bhī humaktā hai
fazā meñ ḳhauf-e-havā bolne nahīñ detā
zamīñ pe aa ke parinda bahut chahaktā hai
tumhārā lahja to dariyā hai bahte paanī kā
ye aag ban ke samundar meñ kyuuñ bhaḌaktā hai
dil-o-dimāġh ke sab taar bajne lagte haiñ
naqāb chehra-e-fitrat se jab saraktā hai
amīr-e-shahr banāyā gayā hai jis din se
hamāre ghaav sitamgar bahut namaktā hai
chamakne lagte haiñ 'anjum' tumhārī yādoñ ke
vo āsmān pe jab raushnī chhiḌaktā hai
Top Urdushayar.com