yāroñ ko kyā DhūñD rahe ho vaqt kī āñkh-micholī meñ
shahar meñ vo to baTe hue haiñ apnī apnī Tolī meñ
shāhoñ jaisā kuchh bhī nahīñ hai gumbad taaq na mehrābeñ
tāj-mahal kā aks na DhūñDo merī shikasta kholī meñ
Dhalte Dhalte sūraj ne bhī ham par ye ehsān kiyā
chāñd sitāre Daal diye haiñ raat kī ḳhālī jholī meñ
'mīrā-jī' ke dohe gaao yā ki 'mīr' ke sher paḌho
dard ke qisse sab ne likhe haiñ apnī apnī bolī meñ
atlas aur kamḳhvāb kī raunaq is meñ kahāñ se pāoge
merī ġhazal to baiThī huī hai aaj ġhamoñ kī Dolī meñ