ishq ik hikāyat hai sarfarosh duniyā kī
hijr ik masāfat hai be-nigār sahrā kī
un ke rū-ba-rū nikle nutq o lafz be-ma.anī
baat hī ajab lekin ḳhāmushī ne paidā kī
vaqt ke tasalsul meñ ham ba-rañg-e-sho.ala the
umr-e-yak-nafas meñ bhī raushnī the duniyā kī
ham ko sahal-añgārī ġharq kar chukī hotī
himmat-āfrīñ niklī lahar lahar dariyā kī
yuuñ to vo farokash the jāda-e-rag-e-jāñ meñ
māvarā-e-imkāñ thī raushnī kaf-e-pā kī
sham-e-mahfil-e-yak-shab aur tūl-e-fikr itnā
kaun shaḳhs thā jis ne ārzū-e-fardā kī
ham bhī haiñ niko-sūrat ham bhī nek-sīrat haiñ
ham ne bandagī kī hai ik jamāl-e-ra.anā kī