na-jāne kitne lahje aur kitne rañg badlegā
vo apne haq meñ hī saare usūl-e-jañg badlegā
ḳhalā meñ tairte maskan rihā.ish ke liye hoñge
ye mustaqbil mirā tahzīb-e-ḳhisht-o-sañg badlegā
dar-o-dīvār kyā jāneñ khulā-pan āsmānoñ kā
kushāda-dil vahī hogā jo zehan-e-tañg badlegā
baḌhā.egā vo apne qad ko bāñsoñ par khaḌe ho kar
kabhī tārīḳh badlegā kabhī farhañg badlegā
amīr-e-shahr ne ham ko sagān-e-shahr samjhā hai
vo apnā kaam rokegā na apnā Dhañg badlegā
bahut chhoTā sahī ye dil magar 'anjum' ye mumkin hai
tavāzun ishq kā ab to yahī pasañg badlegā