Farooq Anjum

main moatabar hun ishq mera moatabar nahin

Farooq Anjum

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1943
maiñ mo'atabar huuñ ishq mirā mo'atabar nahīñ
āñkhoñ meñ ashk-e-ġham nahīñ neze pe sar nahīñ
kuchh naqsh rah ga.e haiñ buzurgoñ kī shaan ke
ab shahr-e-ārzū meñ kisī kā bhī ghar nahīñ
hamrāh chāñd ke to sitāroñ kā hai hujūm
sūraj ke saath koī sharīk-e-safar nahīñ
badlī huī fazā hai ġhazal ke makān kī
chañgez-ḳhāñ ke shahr meñ 'ġhālib' kā ghar nahīñ
chhat āsmān hai to bichhaunā zamīn hai
apne makān meñ kahīñ dīvār-o-dar nahīñ
nākāmiyoñ pe niim chabāne lage haiñ log
'anjum' ye zindagānī hai ḳhvāboñ kā ghar nahīñ
Top Urdushayar.com