taare shumār karte haiñ ro ro ke raat bhar
ḳhairāt-e-husn dījiye ham ko zakāt bhar
dekho hamārā sabr ki ham ne nahīñ piye
aañsū hamāre paas paḌe the furāt bhar
sharminda ho rahī haiñ vafādāriyāñ agar
zambīl-e-e'tibār meñ kuchh mumkināt bhar
rahmat jo terī baḳhsh de ham ko to baḳhsh de
palle meñ apne kuchh bhī nahīñ hai najāt bhar
vo beTā fātiha bhī nahīñ paḌhtā qabr par
jaagī thī jis ke vāste maañ raat raat bhar