sabz mausam kī rifāqat us kā kārobār hai
peḌ kab sūkhe hue pattoñ kā hisse-dār hai
phir mahājan baañT leñge apnī saarī khetiyāñ
qarz kī fasloñ pe jiinā kis qadar dushvār hai
ehtiyāt-o-ḳhauf vaale Dūbte haiñ beshtar
jin ko hai ḳhud par bharosa vo nadī ke paar hai
mutma.in baiThe ho tum ne ye bhī sochā hai kabhī
jis kā saaya sar pe hai vo ret kī dīvār hai
aag kā lashkar hai saf bāñdhe hamāre sāmne
kyā kareñ ham haath meñ to mom kī talvār hai
pattharoñ ko shahar ke rahtī hai mauqa.a kī talāsh
kāñch ke paikar meñ rahnā kis qadar dushvār hai