Farooq Anjum

shahar ki fasilon par zaKHm jagmagaenge

Farooq Anjum

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1943
shahar kī fasīloñ par zaḳhm jagmagā.eñge
ye charāġh-e-manzil haiñ rāsta batā.eñge
peḌ ham mohabbat ke dasht meñ lagā.eñge
be-makāñ parindoñ ko dhuup se bachā.eñge
zahr jab bhī ugloge dostī ke parde meñ
pattharoñ ke lahje meñ ham bhī gungunā.eñge
jañgaloñ kī jharnoñ kī kāġhzī ye tasvīreñ
ghar ke band kamroñ meñ kab talak sajā.eñge
ḳhuun ban ke rag rag meñ duudh maañ kā bahtā hai
qarz ye bhī vājib hai kaise ham chukā.eñge
thak ke lauT jā.eñgī āñdhiyāñ siyāsat kī
jin kī lau rahe qaa.em vo diye jalā.eñge
ye jhukī jhukī palkeñ mat uThā.iye sāhab
jhiil jaisī āñkhoñ meñ log Duub jā.eñge
Top Urdushayar.com