ab dhuup muqaddar huī chhappar na milegā
ham ḳhāna-ba-doshoñ ko kahīñ ghar na milegā
āvāra tamannāoñ ko gar samt na doge
bhaTkī huī ummat ko payambar na milegā
sūraj hī nazar aa.egā neze pe hamesha
sachchā.ī ke shānoñ pe kabhī sar na milegā
alfāz masā.il ke sharāroñ se bhare haiñ
ġhazloñ meñ mirī husn kā paikar na milegā
hāroge jo himmat to Dubo degā samundar
sāhil tumheñ kashtī se utar kar na milegā
us baaġh meñ khilte haiñ abhī jhulse hue phuul
us baaġh meñ ḳhushbū ko abhī ghar na milegā
ye soch ke aayā hai tire shahr meñ 'anjum'
ā.īnoñ ke is shahr meñ patthar na milegā