parinde khet meñ ab tak paḌāv Daale haiñ
shikārī aaj tamāsha dikhāne vaale haiñ
havā.eñ tez haiñ āñdhī ne par nikāle haiñ
bahut udaas patañgeñ uḌāne vaale haiñ
kamand pheñk na denā zamīñ kī vus.at par
na.e jazīre samundar ne phir uchhāle haiñ
chalo ke dekh leñ 'ġhālib' ke ghar kī dīvāreñ
na.ī rutoñ ne bayābāñ meñ Dere Daale haiñ
galī galī meñ chamaktī hai dard kī ḳhushbū
hamāre zaḳhm mahakte hue ujāle haiñ
ab apne aap se milne kī justujū kyā ho
tumhāre shahr ke sab aa.ine to kaale haiñ
jo log vāqa.ī munsif-mizāj haiñ 'anjum'
sunā hai aaj vo chehre badalne vaale haiñ